- Home
- Saavan Sahib
Saavan: The Golden Heart Page 4
Saavan: The Golden Heart Read online
Page 4
DO CHEEZE...
Do chize mujhe aksar yaad aati hai...
Eke uski Ahat aur dusri uski muskurahat,
Do chizo se mai hamesha derta hu..
Eke uske Rone se aur dusra use khone se,
Do chize mujhe aksar pareshan karti hai...
Eke uski Berukhi aur dusri uski Khamoshi,
Do chizo ke liye mere paas hamesha woqt rahta hai...
Eke uski dawa ke liye dusra uske liye Dua ke liye,
Do chizo pe mai hamesha apna haq samjhta hu..
Eke uske hath ke Gulab pe dusra uske her ik Khwab pe,
Do lamho me mera dill zoro se dhadkta hai...
Eke jab wo mere paas ati hai aur dusra jab wo mujhse dur jati hai,
Do chizo ke bina mai reh nahi sakta......
Eke uska Ehsaas dusra mujhpe uska Vishwas,
Do chizo se usne mujhpe Ehsaan kiya..
Eke mujhse pyar karke dusra mujhpe Aitbar karke,
Do chizo ke liye mai Duniya chhor sakta hu.
Eke uski Hasi ke liye aur dusra uski ‘Khushi’ ke liye...
MERA ATEET...
Jane kaisa ye anjaan savera hai..
Ujali dhup ke bich halka-halka sa andhera hai
Atit ki darazo me kahi kho sa gaya hu mai.
Aaj fir teri yaado ne ghera hai..
Aaj fir se bigda nasib lagta hai...
Aaj fir se rutha sa habib lagta hai
Jaise ubhr ati hai purani chote kisi Bayar se
Aaj ki hawa me bhi waisa hi kuchh Azeeb sa lagta hai
Fir wahi purani Aab-o-hawa
Fir wahi Larazti-Thithakti haya
Fir wahi tej raftar dhadkano ki aahat
Fir wahi Kaapte hotho pe kisi ke liye Dua..
Fir se uska mujhpe saaya hai
Fir meri aankho me uska chehra samaya hai
Koi bacha lo mujhe uski parchhai se Sahib
Aaj fir mujhe chhalne mera ATEET aya hai...
MOHABBAT KE KISSE...
Apni Mohabbat ka Kissa bada Khub tha..
Wo jitni chalak thi.. Mai utna hi Bewakuf tha
Wo mujhe dekhke yu hi muskarati thi
Aur mai chupchap Maa ke pichhe chhup jata tha
Chikoti katker jab wo bhagti thi..
Mai lachar sa yu hi aasu bahata tha
Tangdi laga ke wo yu hi mujhe girati thi
Aur mai apne gande kapdo ko dekhke jhallata tha
Chahta to do thappad use laga sakta...... Tha
Chahta to use mai bhi rula sakta tha..
Per jane kyu mai use kuchh keh nahi pata tha
Uske khilaf eke lafz bhi mai sah nahi pata tha
Mai baat-baat pe yu hi us se ladta tha
Wo 16 ki ho gayi aur mai 12 vi me padhta tha
Woqt ki rahmat shayed uspe jyada meherban ho gayi
Mai jaise-jaise bada hua.. Wo bhi jawan ho gayi
Eke din achanak usne mujhe apni baho me bher liya
Aur maine is bat ka zikr uske abbu se ker diya
Usne mujhe izhare mohabbat ka paigam diya
Aur maine pyar se wo Khat uske abba huzur ke hatho me rakh diya
Fir kya tha agle mahine meri barbadi ho gayi
Mai dekhta reh gaya aur uski Shadi ho gayi
Khuda ki Nemat hai... Ye kuchh pyari si bate hai
Mohabbat ke Kisse ‘Ladko’ ki samajh me...
Zara der se aate hai...
USI KE NAAM SE...
Is Anuthe jaha ki fitrat anokhi hai
Yaha jo nakara dikhta hai usi ka kam hota hai
Jo tanha hai akela hai jindagi uski achhi hai
Mahfilo ke bich rahne me bada hi jham hota hai
Jaha sikko ki ahmiyat Rishto se jyada ho
Waha Apnatva ka sahib kaha kam hota hai
Jo sahil hai unhe samander ki gahraiyo se kya
Unki najro me to bas Lahro ka dam hota hai
Anjani surat hui to kya padhne ka hausla to ho
Her ik nazar me ik naya Paigam hota hai...
Log marke bhi amar rahte hai Mahbob ke dil me
Mohabbat karne ka itna bada INAM hota hai
USE badnam kahne ki bhala Zurrat meri kya hai
Usi ke naam se hi to apna NAAM hota hai...
HASTE HUE...
Mere Humdam Mere Dost..
Khushi me to sab haste hai, Kabhi Gum me bhi Muskraya karo..
Hum to Hawa ki tara hai..kal rahe na rahe
Jab tak Zindagi hai,Saath nibhaya karo
Bas hum hi bayan karte hai Jazbat apne
Kabhi tum bhi to Hal apna sunaya karo
Humne to dekhi hai tumhari her ada Dil se
Itne bure to nahi hum, Kabhi hum pe bhi gaur farmaya karo
Tumhari gali ke chakkar katete-katete Chhale par gaye hai Pawon me
Kabh tum bhi to hamare der pe Tashrif laya karo
Tum khud us Khuda ki likhi Ibarat ho to is Chehre pe ye Udasi kyu..
Haste huye aya karo..Haste huye Jaya karo...
AKSH...
Jab Jindagi usko thoda-bahut satati thi
Wo Beperwah si daudkar meri Baho me sama jati thi..
Yu hi ladna-jhagdna uski adao me shamil tha
Uska.. meri khatir tarasna-tadapna Tarif ke kabil tha
Mera koi Gum kabhi usse tala nahi jata tha
Mere bagair kabhi uske halaq se Niwala nahi jata tha..
Mere paas rahne ka usko Zunu tha
Mujhe dekhna uske liye sabse bada Suku tha
Kabhi hum ik-duze ke dil ka Arman the
Kabhi hum ik-duze ki Jaan the
Aaj bhi wo mere liye karwate badlti hai
Aaj bhi wo mujhe sine se lagane ko machalti hai
Aaj bhi wo mere pas daudker ati hai
Per meri akhon me jhakkar achanak ruk jati hai
Shayed ab mai wo Sakhsh nahi rah gaya...
Jab se 'Shadi' kisi aur se hui uski..
Shayed Meri Ankhon me uska 'Aksh' nahi rah gaya...
YA MAULA...
Badi Dhup hai is Zindagi ki Pathrili Raho me
Mai Pag-Pag Sochata hu ki kahi Aram Kar lu
Ik Sadi Guzri Sar-e-Sham Chalte hue
Kahi ‘Chhav’ mile to apni Sham ker lu
Wo na chahe na mile Mujhe ‘Gila’ kya hai per
Koi to mile Sang jiske mai khud ko Gumnam ker lu
Maushiqi bhi Muflishi me DAGA karti hai
Ashiqui Apni hai jab chahu ise Khul-e-aam ker lu
Kisi baat se Daru to Kyu Bhala Jab USKA hath ser pe hai
Mai jo chahu apni Kismat ka Anjam ker lu
Jab ‘Do-Pal’ bache is Zindagi ke...
Ya Maula... Mujhe Ittala ker dena
Mai chahunga wo Do-Pal mai ‘Tere Naam’ Ker Lu
HAA MAI...
Haa mai Use Pana Chahta hu...
Uske Gesuo ko Apne Hatho se Sul-jhana chahta hu
Uske Aasuo ko apni Palko me Chhupana Chahta hu
Bahut Kat chuki ye Zindagi Mayusi me Tanha...
Uske Sath Ab apni Mahfile Sajana Chahta hu
Ha mai Use Pana chahta hu...
Uski Kasmo me Apna Thikana Chahta hu
Uske wado me Apna Fasana Chahta hu
Chhorker Chinta-Fiker Duniya-Dari Ki sari
Uski Yado me Khud Ko Bhul Jana chahta hu
Haa mai Use Pana Chahta hu...
Apni Shamo me Uski Baato ki Sug-Bugahat lana chahta hu
Apni Rato me Uske Kadmo ki Ahat lana chahta hu
Kabse Jagta raha Aankho me Aasu liye...
Apni Subaho me Uski Muskurahat lana chahta hu
Haa mai Use Pana Chahta hu...
Apne Gito ko Uske Kano me Gungunana Chahta hu
Apni Gazlon se Uska Jiwan Mahkana chahta hu..
Zindagi ki Bhaga-Daudi me jab wo Thaq ke chur ho jaye
Apne Atpate Shero se Uska Ji Bahlana chahta hu..
Haa mai Use Pana Chahta hu...
DOORIYAN...
Jab Mohabbat me Khumar tha..
Ye dasta tab ki hai jab Dilo me pyar tha..
Jab Aasma.. Samander me nahaya karta tha
Nadiyo me Dub
ta-Utraya karta tha..
Titliyo se paheliya hua karti thi..
Yu hi pholo se Athkheliya hua karti thi
Ek din Zami ko dekhker Use ‘Kuchh Alag’ Ehsaas hua
Isliye Wo Zami se milne ki Khatir thora aur paas hua..
Dasta thoda aur jam gayi..
Jab Zami se Nazre mili to uski Saase tham gayi
Usne Aav dekha na Tav bus Dil ka raaj khol dala
Samne ja ke Zami ke I.L.U bol dala..
Zami pahle to sharmai per haule se sweekar ker liya
Aasma ne bhi use pyar se Baho me Bher liya..
Rishta yu hi chalta raha per Kudrat se na raha gaya
Deewar banke Zami ka papa 'Kshitiz' bich me aa gaya..
Aasma se bola tumhari zamat dusri hai..
Dur ho jao meri Beti se tumhari ‘Jaat’ dusri hai..
Aasma ne Zami se gher chhorkr shadi karne ki baat ki
Per Zami ne fir kabhi na us se Mulaqat ki...
Ik din uske Sapno ki barbadi ho gayi..
Aasma dekhta raha aur Zami ki 'Mausam' se Shadi ho gayi..
Tab se dono ki apni-apni Mazboriya hai..
Samne hote hai phir bhi Dilo me 'Dooriya' hai...
KhubsuratAlfaz
HaleDil
DastaneAshiqui
AboutThePoet
ConnectWithMe
DEEWALI MUBARAQ...
Ujalo se Dil kholkar milna
Andhero ka Manjar badalna
Sachhai ka daman bachana
Burai ko jad se mitana..
Asuo ko Ankho se bhagana
Khushio ko Palko pe bithana
Tanhaio ko Mahfilo me badalna
Zindagi ke sath-sath chalna
Ye kuchh bate hai jinki Deewali yad dilati hai
Hum Jeet jaye her mushkil se isliye Maye Vijay Tilak lagati hai
Ya Khuda is Deewali bas itni Gujarish hai..ki
Kisi ki Ankho me nami na rahe
Sabke hotho pe Hasi rahe
Log Dusman se bhi Dil se mile
Diye jab bhi jale Khushi ke jale...
Deewali Mubarak...
******
Thank you for reading my book. If you enjoyed it, won’t you please take a moment to leave me a review at your favourite retailer?
Thanks!
Saavan Sahib
About the poet:
Born in November 06,1986 at Uttar Pradesh,Saavansahib is well known for his beautiful and heart touching poetry. Mostly his poetries express the terminology of 'Love and Life'. The best thing in his poetry is that it is fluent with the vairity of Topics.
Connect with Me:
Follow me on Twitter: http//twitter.com/saavansahib
Friend me on Facebook: http//facebook.com/saavan.sahib