Saavan: The Golden Heart
Copyright
Saavan: The Golden Heart
Copyright 2014 Saavan Sahib
License Statement
This ebook is licensed for your personal enjoyment only. This ebook may not be re-sold or given away to other people. If you would like to share this book with another person, please purchase an additional copy for each recipient. If you are reading this book and did not purchase it, or it was not purchased for your use only, then please return to your favourite ebook retailer and purchase your own copy. Thank you for respecting the hard work of this poet.
Khubsurat Alfaz
SHAYARI
"Dil ki kalam me jab 'Dard' ki 'Syahi' hoti hai,
To jo bhi likho Sahib wo 'Shayari' hoti hai"
JAB SE DIL DIYA HAI UNKO
Chalate nahi kisi pe ab Hum 'Nazaro ke Teer' Sahib...
Jab se Dil diya hai 'Unko' Hum 'Masiha' ho gaye.
USNE JATE-JATE KAHA THA...
Aaj pahli bar lauta hu tere DER se khali hath.. Maula..
USNE jate-jate kaha tha.."Mera naam mat lana apni ZUBA pe."
KhubsuratAlfaz
HaleDil
DastaneAshiqui
AboutThePoet
ConnectWithMe
MERI PANAH ME
Meri panah me aana 'Gulon ke khilne' ke baad Sahib,
Meri panah me aane 'Labon ke silne' ke baad Sahib,
Abhi vaapas jao.. Abhi Tumhari Umra hi kya hai...
Meri panah me aane 'Unse milne' ke baad Sahib.
GUNAH
Na jane kitno ka Dil Toda usne,
Na jane kitno ko Usne Tabah kar diya,
Use dekhkar aisa lagta hai jaise..
Khuda ne Hushn dekar ke usko koi Gunah kar diya.
RAUSHANI UNKI MAHFIL ME
Khushi hamesha 'mere jane se' hoti thi,
Hansi hamesha 'mere muskarane se' hoti thi,
Mujhe thukrate hue wo aksar bhul jate hai ki..
Raushani unki Mahfil me 'mere Dil jalane se' hoti thi.
CHHORKAR DUNIYA
Husn ne chaha use 'Ashiki' de du,
Ishk ne chaha use 'Bandagi' de du,
Chhorkar Duniya jab jane laga Saavan...
Maut ne chaha use 'Zindagi' de du.
MERI TAQDIR
Is Zahan ko meri banayi 'Tasvir' na bhayi,
Is Zahan ko meri likhi 'Tahrir' na bhayi,
Tumhari Kismat dikhti thi Sahib usme..
Isliye is zahan ko meri 'Taqdir' na bhayi.
IS BE-AABARU SHAHAR ME
'Gumo ki aah' lagta hai,
'Musibaton se Nikah' lagta hai,
'Is Be-aabaru Shahar me' Sahib...
'Izjatdar hona' ik Gunah lagta hai.
TAQDIR KE HATHO ME
Zindagi jab bhi mili 'Kam' lagi,
Kabhi uski to kabhi apni 'Aankh num' lagi,
Karm ko hi sab kuch samjha maine per aaj...
Taqdir ke hatho me 'Dum' lagi.
WO AADMI
Ziske Dil me koi 'Guma nahi rahata...
Wo Aadmi kabhi 'Khafa nahi rahata.
DUA LIKHTA HU
Har Lafz me mai 'Dil ki Adaa' Likhta hu,
Har Shabd me mai 'Rooh ki Sada' Likhta hu,
Chalte-chalte jab 'Dimag Thaq' jata hai Sahib..
To mai bas Tere liye ‘Duaa’ likhta hu.
KABHI-KABHI
Saans ruk-ruk ke chalti hai,
Nabz.. pal-pal Thahrti hai,
Sabkuchh chhutata nazar aata hai Sahib..
Kabhi-kabhi Zindagi..
Maut ke itne karib se guzarti hai.
MAI AAM HU TO
Mai badnam hu to mujhe Badnam Shakhs bhate hai,
Mai gumnam hu to mujhe Gumnam Shakhs bhate hai,
Mat milvao mujhe kisi 'Khas Shakhs' Se Sahib...
Mai 'Aam aadmi' hu mujhe Aam Shakhs bhate hai.
JISE ISHQ HO JATA HAI
Zarre-Zarre pe uska 'Naam' rahta hai,
Har jagah uska 'Mukaam' rahta hai,
Jise 'Ish..k' ho jata hai Sahib...
Saara Zahan uska 'Gulam' rahta hai.
BHALE HI...
Jab kabhi wo meri 'Raah' se guzre
Jab kabhi wo meri 'Nigah' se guzre
Ikbar to mai 'Sir utha ke' usko dekhu sahib.
Bhale hi wo meri 'Kabragah' se guzre
JANE KITNA ASAR HAI...
Wo 'Uzli dhup' si khadi hai meri Rahon me,
Raushni hi Roushani hai uski 'Nigaho' me,
Har cheez 'Pighal' jati hai chhukar ke usko..
Jane kitna Asar hai is 'Zindagi ki Aahon' me.
JO DHAYE HAI SITAM...
Har dard ko 'Tadbir' banaunga,
Har Zakhm ki 'Tasvir' banaunga,
Jo dhaye hai Tumne Hum pe 'Sitam' Sahib..
Unhi se mai apni 'Taqdir' banaunga.
ZIKRA...
Kyu Batate ho apni 'koi aur' Manzil sahib
Kyu zatate ho Sabse koi aur Mushkil sahib
Zikra hota hai jab kabhi.. kahi is 'Saavan' ka
kyu Chhupate ho sabse Tum 'hale Dil' sahib.
SHAUK-E-IBADAT
'Shauke Sharafat' hai hamko sahib
'Shauke Mohabbat' hai hamko sahib
Sir jhukata hu bas Teri Tasvir ke Zanib..
'Shauke Ibadat' hai hamko sahib...
MARZI...
Wo to Naada.. hai Sahib..
Is me uski, Koi khata nahi
Dil dukha hai ‘Apna’...
Ye us Khuda ki Marzi hai.
WOQT KE KADAM
Pal pal 'Zami ke rango ko' badlte hai,
Pal pal 'Aasma ko wadon se' Chhalte hai,
Ye kisi ke liye rukte nahi sahib...
'Woqt.. Ke Kadam' bahut Tez chalte hai.
MUKHATIB...
Wo mujhe sata rahi hai.. mai use sata raha hu,
Wo mujhe aazma rahi hai.. mai use aazma raha hu,
Andaz dekhiye 'Meri Bekhayali' ka sahib..
'Maut se Mukhatib' hu phir bhi Muskara raha hu.
UJALON SE KAH DO...
Aankhon me kuchh 'Nami si' lagti hai,
Saanso ki 'Mahfil Thami si' lagti hai,
Ujalon se kah do.. Roz aaya kare hamare ‘Dar pe’ Sahib
Hamare Ghar me 'Raushani ki kami' si lagti hai.
KHUDA KE GHAR ME...
Har Mudde pe bahas hogi,
Har Mudde pe Baat hogi,
'Khuda ke ghar' me.. Milna sahib...
Waha Tumse 'Ji Bhar ke' Mulaqat hogi.
MANZIL...
Jo tumhare 'Byaktitva ki nakal' karti ho
Jo tumhare 'Krititva ki pahal' karti ho,
Wahi Manzil chuno sahib...
Jo tumhare 'Har Maqsad ko' hal karti ho.
JAB SE..
Phulon ko chhodiye Sahib..
Ab to Kaanton me bhi 'maze se' rahta hu,
Jab se 'Ishq' hua hai un se...
Mai hamesha 'Nashe me' rahta hu.
DUR HUMSE TAB JANA...
'Ansuo ko' Ankhon me jab chhupa sako,
'Gesuo ko' ulajhne se jab bacha sako'
Dur hamse... Tab jana Sahib..
Dur rahkar bhi jab Tum 'Muskara' sako.
BARSOGE BANKE ‘SAAVAN’...
Dil diya to diya per dil se 'Dua' na dize
Zakhmi kiya nazar se to Rahm-e-Zuba na kijze,
Barsoge banke 'Saavan' unki Aankho se hamesha sahib..
Shart ye hai ki kabhi Izhare-wafa na kize.
LOG...
Jane kis-kis se kya-kya chhupate hai,
Dushmano ko chhoriye sahib...
Aaj-kal log 'Dosto' se khud ko bachate hai.
KAISE KAHU...
Thikana uska puchhu ya apna pata bata du,
Arzu uski janu ya apni raja bata du...
Kaise kahu ki mujhe usse pyar hai sahib
Ilzam us
pe lagau ya ‘Apni Khata’ bata du.
SHAHRO ME...
Shahro me Pankhudiya bikhar jati hai,
Shahro me Zindagiya thahr jati hai,
Mat le jao Gaon ki raunak shahro me sahib..
Shahro me 'Titliyan' mer jati hai.
BERUKHI...
Kisi alhadh nadi ya Tufan si ho gayi,
Zindagi ik Bhayanak biya-wan si ho gayi,
Usne yu nichhora apni Berukhi se sahib.. Ki
Dil to Khuda sa reh gaya per 'Rooh' Haiwan si ho gayi.
ZINDAGI AB...
Daur-e-kayamat ka Ashiya lagti hai
Bujhi-Bujhi si chalti hai..
Maut ka kaarva lagti hai,
Khwab sare jal chuke hai iske sahib
Zindagi ab ‘Dhua-Dhua’ sa lagti hai...
HUMSAFAR...
Saavan ko kisi ki Nazar chahiya
Saavan ko koi Rahgujar chahiye..
Bada Tanha mahsus karta hai Aaj-Kal sahib..
Saavan ko Aap jaisa ik ‘Humsafar’ chahiye.
BAAT- BAAT PE...
Kya tum Khushi ki lahar ho
Kya tum Khuda ki Meher ho..
Baat-Baat pe hasa dete sabko sahib
Kya tum koi Jaduger ho..
TERI MAHFIL ME...
Teri Mahfil me chand-Sitare honge,
Teri Mahfil me sare nazare honge,
Teri Mahfil fir bhi suni-suni lagegi sahib
Ger usme 'Do Aasu' na hamare honge.
BAS WAFA KE SIVA...
Mujhe Sataker achha kiya sahib
Mujhe Rulaker achha kiya sahib
Bas ‘Wafa ke Siva' aur de hi kya sakta tha..
Mujhe Bhulaker achha kiya sahib.
DHADKANO ME...
Sunayi deti hai her pal unki awaz.
Mere Dil ki Dhadkano me...
‘Ghul se’ gaye hai wo...
TUMSE MILNA...
Kabhi-Kabhi jindagi me apni Raat hoti hai
Kabhi-kabhi jindagi me apni Baat hoti hai,
Tumse milna ‘Khudse’ milna hai 'Saavan'
Kabhi-Kabhi Zindagi me khud se Mulakat hoti hai...
KHABAR...
Meri Barbadi ka Jashn kab tak manaoge
Meri Qabra per akhir kab tak muskraoge,
Aa jayenge tumhari ankho me bhi Aansu sahib
Jab mere Marne ki tum ‘Khabar’ paoge..
TU ITNA UPER JAYEGA...
Kya hua ger abhi Uljhane hai,
Kya hua ger abhi Fasle hai,
Shuru-Shuru me 'Ladkhadane ka Gum' na ker Saavan..
Tu itna uper jayega jitna ki tere 'Hausale' hai...
USKI HASI...
Na jane kyu wo sharma gayi..
Na jane kyu Yu hi wo muskara gayi..
Jab udasi me uthi meri nazre Sahib..
Uski Hasi mere Aasuo se Takra gayi..
MERI MAA
Subah ko Pranam karti hai
Saba ko salam karti hai...
Ai Khuda in hatho ki Taqat bhi use de de,
Meri Maa... Bahut kaam karti hai..
TO KYA HOGA....
Sarfaroshi ki Shama dil me jala lu to kya hoga?
Saara lahu Sarhado pe baha du to kya hoga?
Mere Gher ki Zami pe 'Algavwad' ke Darare hai,
Mai Sara Aasma apna bana lu to kya hoga?
JANE KIS JANAM ME...
Jane kis janam me wo meri Perchhayi hogi
Jane kis janam me wo meri Rubai hogi
Uska Banda to mai kabse hu sahib..
Jane kis janam me wo meri 'Khudayi' hogi..
IS JAHA ME...
Kabhi Mahfil kabhi Tanhai..
Kabhi Tohfa kabhi Ruswai..
Na jane kya kya mila jaha me sahib
Kabhi Wafa to kabhi ‘Bewafai’..
FITRAT...
Jismo ko Bhigo dena fitrat hai Saavan ki
Labo ko Piro dena fitrat hai Saavan ki
Jo dikhta hai wo hai nahi, jo hai wo dikhta nahi
‘Sachhai’ ko Dho dena fitrat hai Saavan ki
WO DO AKSHAR...
Kuchh sapne the jo Aish-o-Aram ke the
Kuchh Nagme the jo bade kam ke the,
Jannat me hota aaj.. Jo padh leta Sahib..
Wo Do Akshar jo tere Naam ke the..
ISHQ KA NASHA...
Kaha jaoge uski 'Panah' se bachker
Kaha jaoge uski 'Nigah' se bachker
Ishq ka Nasha sabko Dubota hai
Kaha jaoge is 'Gunah' se bachker.
MUJHE UMMID THI...
Mujhe ummid thi.. Wo mera aitbar karegi
Mujhe ummid thi.. Wo mera intzar karegi
Kuchh dino pahle wo ho gayi kisi aur ki..
Mujhe ummid thi.. Wo meri Humrah banegi.
RET KI TARAH...
Uski dillagi.. Mujhe pal-pal masalti rahi
Uski Berukhi Mujhe pal-pal nigalti rahi
RET.. Ki tara thi meri mohabbat sahib..
Maine jitna apnaya wo utni teji se hath se fisalti rahi..
WOQT...
Woqt se sabki Kimat hai...
Zindagi woqt ka fer..
Jawani jalti Lakadiyo si hai..
Aur Budhapa 'Rakh' ka dher.
RANG UD JATA HAI...
Ye falsafa Tazurbe ka hai..
Humne Sikha nahi kisi Namune se,
'Titliya aur Ladkiya' eke jaisi hoti hai..
Rang ud jata hai.. Dono ka Chhune se...
KUCHH TO MILEGA...
Tanhaiyo ki mehfil aabad to hogi..
In surkh hotho pe koi fariyad to hogi,
Kuchh to milega uski gali me jaker sahib
Wo na hogi per uski yaad to hogi..
US GALI ME...
Us gali me Hasi honi chahiye..
Us gali me Khushi honi chahiye..
Jis gali se mera "Zanaza" nikle mere Maula
Us gali me meri Zindagi honi chahiye.
APNE LIYE...
Apne liye ab Jiya nahi karta..
Apne liye ab Dua nahi karta,
Maja ane laga hai Dard me jine ka Sahib..
Apne Zakhmo ki ab Dawa nahi karta..
EKE MAUKA...
Apne saath muskarane ka..Eke mauka mujhe bhi de,
Apne saath Dil lagane ka...Eke mauka mujhe bhi de,
Maut ke Agosh se..Derta nahi ae Zindagi..
Per Apni kismat Aazmane ka..Eke mauka mujhe bhi de..
MUQAMMAL...
Andhere mile to shauk se pina..
Ujale mile to Aish se jina...
Is jaha me mukammal kuchh bhi nahi sahib
Woqt ne kabhi kuchh diya hai to kabhi kuchh chhina...
AAJ NAAM PUCHHA HAI...
Kaha hoti hai Subah - kaha Sham puchhegi
Zindagi ke kisse wo tamam puchhegi..
Kaise batau mai apni Bebasi sahib...
Aaj naam puchha hai kal Mukam puchhegi.
BESHAK...
Itni Shikayat karna meri jitni mai tujhse Inayat karta hu..
Itni Zillat dena mujhe Jitni mai teri Ibadat karta hu..
Mai Beshak Dur chala jaunga tujhse sahib per..
Itni Nafrat karna mujse jitni mai tujhse Mohabbat karta hu.
TERI BAHO ME...
Mushkile teri Aahon se takra ke yu hi bikhar jati hai
Tujhse rubru hou to her bigdi Savar jati hai
Milke tujhse Tamanna jagti hai fir se jine ki
Teri baho me Maut bhi ZINDAGI si nazar ati hai..
GUZARISH...
Jo jhutha ho use Sachai ki kadra karna sikha dena
Jo sacha ho use apni parchhai pe Fakhr karne ki waja dena
Ae Khuda tujhse bas itni Guzarish hai
Wafa ke naam per mitne walo ko apne Dil me jagah dena
AAJ FIR...
Aaj fir Dhadkano ki Guzarish hui hogi
Aaj fir Ashko ki barish hui hogi
Yu hi nahi peresha hu in Hichkiyo se sahib
Aaj fir Farishto se Shifarish hui hogi
AADMI...
Woqt jo chahega Uska wahi anjam hoga
Woqt jaha chhorega Uska wahi mukam hoga
Aadmi WOQT ka Gulam
Thahra sahib
Woqt se hi wo Khas hoga woqt se hi Aam hoga..
‘SATYA’ HAI...
Andhero me gyan ka dipak wo jalata hai